Sarwar kahun ke Maalik-o Mawlaa kahun tujhe
Baaghe Khaleel ka gul-e zaibaa kahun tujhe
Hirmaan naseeb huun tujhe ummid gah kahuun
Jaane muraado kaane tamanna kahun tujhe
Gulzaar-e Quds ka gul-e rangeen adaa kahuun
Darmaan-e dard-e bulbul-e shedaa kahuun tujhe
Subhe watan pe shaam-e gareeban ko doon sharaf
Bekas nawaaz gesu-on waala kahun tujhe
Allah re! tere jisme munawwar ki taabishen
E jaan-e jaan mein jaane tajalla kahun tujhe
Mujrim huun apne afwa ka saamaan karoon shahaa,
Yaanee Shafee-e- roz-e jazaa ka kahun tujhe!
Is murdah dil ko muzda Hayaat-e abad ka doon
Taab-o tawaan-e jaan-e Maseeha kahun tujhe
Tere to wasf ayb-e tanhayee se hein baree
Hayraan huun mere shaah main kya kya kahun tujhe
K`eh legi sab kuch unke sanaa khwaan ki khaamoshee
Chup ho rahaa he keh ke main kya kya kahun tujhe
Lekin Raza ne khatm-e sukhan is pe kardiya
Khaaliq ka banda Khalq ka Aaqa kahun tujhe

No comments :
Post a Comment